zamīn-e-dil  ik  arse  ba.ad  jal-thal  ho  rahī  hai
koī  bārish  mere  andar  musalsal  ho  rahī  hai
lahū  kā  rañg  phailā  hai  hamāre  canvas  par
terī  tasvīr  ab  jā  kar  mukammal  ho  rahī  hai
havā-e-tāza  kā  jhoñkā  chalā  aayā  kahāñ  se
ki  muddat  ba.ad  sī  paanī  meñ  halchal  ho  rahī  hai
tujhe  dekhe  se  mumkin  maġhfirat  ho  jaa.e  us  kī
tere  bīmār  kī  bas  aaj  aur  kal  ho  rahī  hai
vo  sāhab  aa  hī  ga.ī  band-e-qabā  kholne  lage  haiñ
pahelī  thī  jo  ik  uljhī  huī  hal  ho  rahī  hai