Azhar Iqbal

wo mahtab abhi baam par nahin aaya

Azhar Iqbal

Meerut, Uttar pradesh, India

1978

vo māhtāb abhī baam par nahīñ aayā

mirī duāoñ meñ shāyad asar nahīñ aayā

bahut ajiib hai yāroñ bulandiyoñ tilism

jo ek baar gayā lauT kar nahīñ aayā

ye kā.enāt vus.at khulī nahīñ mujh par

maiñ apnī zaat se jab tak guzar nahīñ aayā

bahut dinoñ se hai be-shakl merī miTTī

bahut dinoñ se koī kūza-gar nahīñ aayā

bas ek lamhe ko be-pairāhan use dekhā

phir is ke ba.ad mujhe kuchh nazar nahīñ aayā

ham ab bhī dasht meñ ḳhema lagā.e baiThe haiñ

hamāre hisse meñ apnā ghar nahīñ aayā

zamīn bāñjh na ho jaa.e kuchh kaho 'az.har'

suḳhan shāḳh pe kab se samar nahīñ aayā

Top Urdushayar.com