huī  na  ḳhatm  terī  rahguzār  kyā  karte
tere  hisār  se  ḳhud  ko  farār  kyā  karte
safīna  ġharq  hī  karnā  paḌā  hameñ  āḳhir
tire  baġhair  samundar  ko  paar  kyā  karte
bas  ek  sukūt  hī  jis  kā  javāb  honā  thā
vahī  savāl  miyāñ  baar  baar  kyā  karte
phir  is  ke  ba.ad  manāyā  na  jashn  ḳhushbū  kā
lahū  meñ  Duubī  thī  fasl-e-bahār  kyā  karte
nazar  kī  zad  meñ  na.e  phuul  aa  ga.e  'az.har'
ga.ī  rutoñ  kā  bhalā  intizār  kyā  karte