hasrat-e-dil  ko  maar  kar  dekhā
bojh  saarā  utaar  kar  dekhā
vaqt  mumkin  kahāñ  guzāre  to
jaise  maiñ  ne  guzār  kar  dekhā
koī  merī  madad  ko  aayā  nahīñ
maiñ  ne  sab  ko  pukār  kar  dekhā
daaġh  chehre  pe  raqs  karte  rahe
aa.ine  ko  sañvār  kar  dekhā
vasl  ta.abīr  ho  nahīñ  saktā
hijr  kā  ḳhvāb  maar  kar  dekhā
terī  ḳhātir  nahīñ  jo  karnā  thā
dekh  le  vo  bhī  yaar  kar  dekhā
vaqt  mumkin  kahāñ  guzāre  to
jaise  maiñ  ne  guzār  kar  dekhā
tishnagī  kam  na  ho  sakī  'kausar'
ek  dariyā  ko  paar  kar  dekhā