Suryabhanu Gupt

ranj is ka nahin ki hum TuTe

Suryabhanu Gupt

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1940

rañj is nahīñ ki ham TuuTe

ye to achchhā huā bharam TuuTe

ek halkī Thes lagte

jaise koī gilass ham TuuTe

aa.ī thī jis hisāb se āñdhī

is ko socho to peḌ kam TuuTe

log choTeñ to ga.e lekin

dard karte hue raqam TuuTe

ā.īne ā.īne rahe garche

sāf-goī meñ dam-ba-dam TuuTe

shā.erī ishq bhuuk ḳhuddārī

umr bhar ham to har qadam TuuTe

bāñdh TuuTā nadī kuchh aise

jis tarah se koī qasam TuuTe

ek afvāh thī sabhī rishte

TūTnā tai thā aur ham TuuTe

zindagī kañghiyoñ meñ Dhaal hameñ

terī zulfoñ ke pech-o-ḳham TuuTe

tujh pe marte haiñ zindagī ab bhī

jhuuT likkheñ to ye qalam TuuTe

Top Urdushayar.com