kal  us  ke  nek  banñe  kā  imkān  bhī  to  hai
mujrim  zarūr  hai  magar  insān  bhī  to  hai
chehra  hasīñ  vo  dushman-e-īmān  bhī  to  hai
lekin  nashāt-e-rūh  kā  sāmān  bhī  to  hai
ġhurbat  kī  Thokaroñ  meñ  jo  pal  kar  javāñ  huā
tūfāñ  ke  rū-ba-rū  vahī  chaTTān  bhī  to  hai
kal  tak  uThī  thiiñ  jis  kī  sharāfat  pe  uñgliyāñ
apne  kiye  pe  aaj  pashemān  bhī  to  hai
huuñ  apne  dostoñ  kī  nigāhoñ  meñ  mohtaram
mujh  ko  milā  ḳhulūs  kā  vardān  bhī  to  hai
qurbat  hai  us  kī  vaj.h-e-qarār-o-sukūñ  magar
us  kā  shabāb  hashr  kā  sāmān  bhī  to  hai
samjhā  gayā  hai  jis  ko  sharāfat  kā  pāsdār
bātin  meñ  bad-shi.ār  vo  shaitān  bhī  to  hai
qātil  tū  ghar  pe  kaise  kahūñ  maiñ  burā  bhalā
izzat-ma.āb  hai  mirā  mehmān  bhī  to  hai
'nayyar'  junūn-e-shauq  meñ  rusvā  huā  to  kyā
us  kī  alag  samāj  meñ  pahchān  bhī  to  hai