merī  izzat  baḌh  ga.ī  ik  paan  meñ
farq  kyā  aayā  tumhārī  shaan  meñ
un  ko  dekhā  to  kahā  yuuñ  kaan  meñ
kyuuñ  ḳhalal  Daalā  mire  īmān  meñ
āshiqī  hai  bahar-e-nāpaidā-kanār
kashti-e-dil  aa  ga.ī  tūfān  meñ
hai  yahī  pahchān  baalī  umr  kī
bāliyāñ  vo  do  faqat  haiñ  kaan  meñ
tere  sadqe  ke  liye  hāzir  haiñ  sab
dur  samundar  meñ  javāhar  kaan  meñ
de  ke  dil  us  but  ko  apnā  kar  liyā
is  tijārat  meñ  nahīñ  nuqsān  meñ
kyā  mai-e-gul-gūñ  se  raunaq  ghaT  ga.ī
rañg  balki  aa  gayā  īmān  meñ
us  but-e-kāfir  ko  sajda  kar  liyā
is  se  kyā  aayā  ḳhalal  īmān  meñ
tum  parī  kā  faḳhr  ho  hūroñ  kā  naaz
kaash  hote  firqa-e-insān  meñ
us  ke  ruḳhsāroñ  pe  hai  ḳhat  kī  numūd
hāshiya  ye  hai  nayā  qur.ān  meñ
gesu-e-pechāñ  tire  ruḳhsār  par
sūra-e-vallail  hai  qur.ān  meñ
āriz-e-tābāñ  pe  hai  ḳhat  kī  numūd
habshiyoñ  kī  fauj  yā  īrān  meñ
kah  do  pesh  aayā  kare  achchhī  tarah
chal  na  jaa.e  mujh  meñ  aur  darbān  meñ
vo  kareñ  zulm  aur  tum  lab  par  na  laao
varna  gustāḳhī  hai  un  kī  shaan  meñ
sunte  sunte  vā.izoñ  se  hajv-e-mai
zo.af  sā  kuchh  aa  gayā  īmān  meñ
yuuñ  kahūñgā  vuuñ  kahūñgā  thā  ḳhayāl
rū-ba-rū  kuchh  bhī  na  aayā  dhyān  meñ
us  kī  qudrat  se  nahīñ  'parvīñ'  ba.iid
raa.ī  ko  parbat  banā  de  aan  meñ