Kishwar Naheed

sham banhon mein liye raat ki rani aai

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
shaam bāñhoñ meñ liye raat kī raanī aa.ī
ai mohabbat tujhe dene ko salāmī aa.ī
tishnagī itnī ki dariyā hai mirī āñkhoñ meñ
nā-shanāsā tire hone kī gavāhī aa.ī
jis se mansūb huā mere ḳhayāloñ kā safar
DhūñDne us ko mire saath havā bhī aa.ī
mujh meñ maujūd hai vo aur nahīñ hai zāhir
us kī ḳhvāhish dar-o-dīvār banātī aa.ī
zaḳhm aisā thā Tapaktā thā lahū āñkhoñ se
us kī ḳhvāhish dar-o-dīvār banātī aa.ī
zaḳhm aisā thā Tapaktā thā lahū āñkhoñ se
dil bayāñ kar na sakā aisī tabāhī aa.ī
pursish-e-hāl kare kaun kise hai fursat
kab mire sahn meñ nā-dīda ḳhudā.ī aa.ī
Top Urdushayar.com