Parveen Umm-e-Mushtaq

KHak kar Dalen abhi chahen to mai-KHane ko hum

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944

ḳhaak kar Dāleñ abhī chāheñ to mai-ḳhāne ko ham

ek sāġhar ko bharo tum ek paimāne ko ham

mujh se ham-āġhosh ho kar yuuñ kahā aur sach kahā

hoshiyār is tarah kar dete haiñ dīvāne ko ham

naza.a meñ aa.e haiñ sad afsos jīte-jī na aa.e

vo haiñ aane ko to ab tayyār haiñ jaane ko ham

be-natīja un pe marnā yaad aatā hai hameñ

sham.a par jab dekhte haiñ marte parvāne ko ham

kohkan aur qais qabroñ se aatī hai sadā

kyā mukammal kar ga.e ulfat ke afsāne ko ham

ek pattā bhī nahīñ hiltā ba-juz hukm-e-ḳhudā

kis tarah ābād kar leñ apne vīrāne ko ham

ek din ye hai ki haiñ ik sham.a-rū par ḳhud nisār

ek din vo thā burā kahte the parvāne ko ham

abruoñ ne sach kahā us ke ishāre hai der

dekhte bilkul nahīñ phir apne begāne ko ham

jaan jaa.e rahe us ko sunā.eñge zarūr

qais ke parda meñ 'parvīñ' apne afsāne ko ham

Top Urdushayar.com