bahut  hī  sāf-o-shaffāf  aa  gayā  taqdīr  se  kāġhaz
tumhāre  vāste  laayā  huuñ  maiñ  kashmīr  se  kāġhaz
huā  hai  abru-e-jānāñ  se  dil-e-betāb  sad-pāra
muqābil  ho  nahīñ  saktā  dam-e-shamshīr  se  kāġhaz
agar  lohe  ke  gumbad  meñ  rakheñge  aqrabā  un  ko
vahīñ  pahuñchā.egā  āshiq  kisī  tadbīr  se  kāġhaz
mirī  qismat  likhī  jaatī  thī  jis  din  maiñ  agar  hotā
uḌā  hī  letā  dast-e-kātib-e-taqdīr  se  kāġhaz
bhalā  saada  varaq  par  likhtā  kyā  rañgīñ-mizājoñ  ko
munaqqash  kar  liyā  thā  pahle  hī  taqdīr  se  kāġhaz
kuchh  us  ḳhushbū  kī  had  bhī  hai  mo.attar  ho  gayā  bilkul
mire  hāthoñ  meñ  vasf-e-gesū-e-shabgīr  se  kāġhaz
adū  kā  ḳhat  hai  yā  ta.avīz  hai  jo  yuuñ  hai  siine  par
ye  kyuuñ  rakkhā  gayā  hai  izzat-o-tauqīr  se  kāġhaz
ḳhat-e-taqdīr  se  behtar  maiñ  samjhūñ  is  ko  duniyā  meñ
tū  likhvā  laa.e  gar  qāsid  but-e-be-pīr  se  kāġhaz
batā  zālim  mire  qāsid  ne  terā  kyā  bigāḌā  thā
jo  le  kar  phaaḌ  Daalā  dast-e-be-taqsīr  se  kāġhaz
mire  haath  aa  gayā  'parvīñ'  adū  ke  naam  kā  ḳhat  thā
girā  thā  rah  meñ  jo  dast-e-but-e-be-pīr  se  kāġhaz