musāhibat  kā  koī  silsila  nahīñ  hai  kyā
kisī  bhī  shaḳhs  se  ab  rābta  nahīñ  hai  kyā
hazār  logoñ  se  pūchhā  sabhī  haiñ  nā-vāqif
yahāñ  bhī  tujh  ko  koī  jāntā  nahīñ  hai  kyā
tamām  rishte  farāmosh  kar  diye  tū  ne
ta.alluqāt  se  ab  fā.eda  nahīñ  hai  kyā
amīr-e-shahr  se  hai  maslahat  bajā  lekin
hai  baat  sach  to  kaho  hausla  nahīñ  hai  kyā
zabān  maiñ  ne  jo  kholī  to  sab  haiñ  shashdar  kyuuñ
tire  ḳhilāf  koī  boltā  nahīñ  hai  kyā
muāmalāt  meñ  sab  taaq  par  rakheñge  usuul
ḳhudā  ke  bande  tujhe  kuchh  pata  nahīñ  hai  kyā