bahut  udaas  hai  māh-e-tamām  kis  ke  liye
rukī  huī  hai  muñDeroñ  pe  shaam  kis  ke  liye
bhulā  ke  ḳhud  ko  chalo  gahrī  niiñd  sote  haiñ
agar  kareñ  bhī  to  nīndeñ  harām  kis  ke  liye
ki  is  dayār  meñ  kaun  aayā  hai  jo  aa.egā
hameñ  batāo  ki  ye  ehtimām  kis  ke  liye
unheñ  bhī  kaash  kisī  roz  ye  pata  to  chale
bane  haiñ  shauq  se  ham  bhī  ġhulām  kis  ke  liye
vo  koī  aur  nahīñ  hai  to  ek  baat  batā
chhalak  rahe  haiñ  nigāhoñ  ke  jaam  kis  ke  liye