Rashid Anwar Rashid

suna ki KHub hai uske dayar ka mausam

Rashid Anwar Rashid

Ranchi, Jharkhand, India

1971

sunā ki ḳhuub hai us ke dayār mausam

diloñ pe chhāne lagā phir ḳhumār mausam

kabhī kabhī to badan ko pata nahīñ chaltā

ki bāġh-e-rūh meñ kab aayā pyaar mausam

maiñ us gulāb ko nārāz kar nahīñ saktā

bhale ruuTh ke jaa.e bahār mausam

ye ḳhauf dil meñ ubhartā hai dard sūrat

badal na jaa.e kahīñ e'tibār mausam

maiñ ḳhud bhī milne ko bechain huuñ ye jab se sunā

mirī talāsh meñ hai intizār mausam

tamām āb-o-havā meñ gulāl bikhrā hai

ki rañg laayā hai us ke nikhār mausam

khile hue haiñ umīdoñ ke phuul dil meñ magar

guzar na jaa.e kahīñ intizār mausam

baḌe maze se abhī tak guzar rahe haiñ din

isī tarah rahe qaa.em ḳhumār mausam

yahāñ kabhī bhī ḳhizāñ guzar nahīñ hogā

yahāñ hamesha rahegā bahār mausam

sukūn-e-qalb mayassar ho ḳhvāb puure hoñ

kabhī to aa.e dil-e-be-qarār mausam

kisī tarah bhī na inkār hai gunjā.ish

ki hai uruuj pe qaul-o-qarār mausam

vo achchhe-achchhoñ ko ḳhātir maiñ ab na laatā hai

ki in dinoñ to hai us ke nikhār mausam

Top Urdushayar.com