nazar  se  duur  rahe  mujh  ko  āzmā.e  bhī
agar  vo  vaqt  nahīñ  hai  to  lauT  aa.e  bhī
hai  ābshār  to  ehsās  ko  kare  sairāb
vo  pyaas  hai  to  mirī  tishnagī  baḌhā.e  bhī
vo  mauj  hai  to  mujhe  ġharq  bhī  zarūr  kare
hai  nāḳhudā  to  bhañvar  se  nikāl  laa.e  bhī
vo  ḳhvāb  hai  to  kare  bas  qayām  āñkhoñ  meñ
agar  hai  ḳhauf  to  nīndeñ  mirī  uḌaa.e  bhī
vo  mas.ala  hai  to  merī  jabīñ  pe  raushan  ho
vo  koī  hal  hai  to  dil  ko  qarār  aa.e  bhī
nazar-shanās  na  ho  to  mujhe  bhī  taḌpā.e
vo  dil-navāz  agar  hai  to  maan  jaa.e  bhī
agar  vo  aur  koī  hai  to  koī  baat  nahīñ
hai  zindagī  to  añdheroñ  meñ  gungunā.e  bhī