vo  aur  log  the  jo  rāste  badalte  rahe
safar  hai  shart  so  ham  niiñd  meñ  bhī  chalte  rahe
pighal  rahā  thā  yugoñ  se  vajūd  kā  laavā
ḳhayāl-o-ḳhvāb  mire  pattharoñ  meñ  Dhalte  rahe
unheñ  qubūl  mirī  rahbarī  na  thī  lekin
muḳhālifīn  mire  saath  saath  chalte  rahe
jinheñ  nasīb  huā  un  ko  baḳhsh  dī  raunaq
maiñ  jin  ke  haath  na  aayā  vo  haath  malte  rahe
agarche  zauq-e-safar  meñ  kamī  nahīñ  aa.ī
qadam  qadam  pe  magar  zāviye  badalte  rahe
ubhar  jo  aa.e  sar-e-shām  ātishīñ  lamhe
safar  meñ  barf-badan  der  tak  pighalte  rahe