dil  ne  paayā  jo  mire  muzhda  tirī  paatī  kā
muñh  phirā  sū-e-badan  jān-e-ba-lab  aatī  kā
yuuñ  to  ai  yār-e-dil-afroz  tū  sab  kā  hai  vale
daaġh  jāñ-soz  nirāyā  hai  mirī  chhātī  kā
dil  dam-e-āh-e-sahar-ḳhez  chalā  jaatā  hai
mutribā  chup  hai  tū  kyuuñ  vaqt  hai  parbhātī  kā
dil-e-afsurda  ko  hai  soz-e-darūñ  se  kyā  rabt
kaam  kyā  ḳhāna-e-vīrāñ  meñ  diye-bātī  kā
is  jahāñ  meñ  sifat-e-ishq  se  mausūf  haiñ  ham
na  karo  aib  hamāre  hunar-e-zātī  kā
yaar  sun  sun  ke  sab  ahvāl-e-ḳharāb-e-'hasrat'
bolā  kyā  kaam  hai  yaañ  aise  ḳharābātī  kā