kyā  kahūñ  tujh  se  mirī  jaan  maiñ  shab  kā  ahvāl
tujh  pe  raushan  hai  dil-e-vasl-talab  kā  ahvāl
huuñ  maiñ  ik  āshiq-e-be-bāk  o  ḳharābātī  o  riñd
mujh  se  mat  pūchh  mire  ilm-o-adab  kā  ahvāl
dil  ko  ḳhālī  karūñ  ro  ro  ke  magar  maiñ  be-kas
kaun  suntā  hai  mire  rañj-o-ta.ab  kā  ahvāl
mahram-e-rāz  nahīñ  miltā  koī  dard  hai  ye
kyā  tabīboñ  se  kahūñ  ishq  ke  tab  kā  ahvāl
lutf  hai  sab  se  sazāvār-e-ġhazab  ek  huuñ  maiñ
ḳhuub  dekhā  jo  tire  lutf  o  ġhazab  kā  ahvāl
ai  miyāñ  aaj  to  do  baat  mirī  bhī  sun  le
kahā  chāhūñ  huuñ  maiñ  tujh  se  bhalā  kab  kā  ahvāl
zor  hai  jaise  ki  nisbat  namak  o  riish  ke  biich
maiñ  hī  samjhūñ  tirī  kaifiyyat-e-lab  kā  ahvāl
nahīñ  dam  mārne  kī  mujh  ko  tire  aage  majāl
haa.e  suntā  hai  tū  kis  tarah  se  sab  kā  ahvāl
kyā  koī  ḳhush  ho  mire  sher  ko  sun  ke  'hasrat'
dard-e-dil  hai  ye  nahīñ  aish-o-tarab  kā  ahvāl