saaqī  haiñ  roz-e-nau-bahār  yak  do  sah  chaar  panj  o  shash
de  mujhe  jām-e-ḳhush-gavār  yak  do  sah  chaar  panj  o  shash
bosa  maiñ  lūñgā  gin  ke  yaar  yak  do  sah  chaar  panj  o  shash
kah  chukā  bas  maiñ  ek  baar  yak  do  sah  chaar  panj  o  shash
pahuñcheñ  na  tujh  ko  gul-izār  yak  do  sah  chaar  panj  o  shash
ruḳh  tirā  ek  aur  bahār  yak  do  sah  chaar  panj  o  shash
ghereñ  raheñ  haiñ  tujh  ko  yaar  yak  do  sah  chaar  panj  o  shash
said  tū  jo  kare  shikār  yak  do  sah  chaar  panj  o  shash
sub.h-e-visāl  kā  bhī  din  dekhūñgā  ai  ḳhudā  kabhī
ho  chukīñ  shām-e-intizār  yak  do  sah  chaar  panj  o  shash
jī  mirā  chāhtā  hai  yuuñ  hove  jo  dastaras  kabhī
tujh  par  karūñ  maiñ  jāñ-nisār  yak  do  sah  chaar  panj  o  shash
bosoñ  ke  tere  lab  pe  haiñ  mere  udhār  be-shumār
de  hai  tū  kuchh  bhī  kar  shumār  yak  do  sah  chaar  panj  o  shash
hijr  kī  shab  ai  māh-rū  ro  ro  gineñ  haiñ  sub.h  tak
taare  ye  chashm-e-ashk-bār  yak  do  sah  chaar  panj  o  shash
uñgliyoñ  pe  ginūñ  huuñ  maiñ  ghaḌiyāñ  umīd-e-vasl  meñ
juuñ  gine  sāhib-e-qimār  yak  do  sah  chaar  panj  o  shash
shash-jihat-e-jahāñ  ke  pech  muñh  karūñ  jidhar  ko  maiñ
hote  haiñ  mujh  se  ġham  do-chār  yak  do  sah  chaar  panj  o  shash
'hasrat'-e-ġham-zada  kā  ġham  khāvegā  tū  agar  na  yaar
us  ke  haiñ  tujh  se  ġham-gusār  yak  do  sah  chaar  panj  o  shash