us  zulf  se  dil  ho  kar  āzād  bahut  royā
ye  silsila-e-ulfat  kar  yaad  bahut  royā
rahm  us  ko  na  thā  hargiz  har  chand  bahāl-e-sag
us  kūche  meñ  maiñ  kar  kar  fariyād  bahut  royā
mazlūmī  mirī  aur  zulm  dekh  us  but-e-kāfir  kā
rahm  aayā  sitam  ke  ta.iiñ  be-dād  bahut  royā
dil  ġham  se  na  ho  ḳhālī  rone  se  mirā  lekin
tā  ho  mire  rone  se  vo  shaad  bahut  royā
is  ishq  kī  majbūrī  nāseh  pe  khulī  jab  se
kar  man.a-e-mohabbat  kā  irshād  bahut  royā
dekhī  na  ḳhudā-tarsī  ik  gabr  o  musalmāñ  se
har  ik  se  talab  kar  kar  maiñ  daad  bahut  royā
anjām  mohabbat  kā  būjhā  thā  magar  us  ko
jab  dil  lagā  shīrīñ  se  farhād  bahut  royā
hai  tāza-giraftāroñ  kī  fariyād  ko  kyā  riqqat
shab  naala  mirā  sun  kar  sayyād  bahut  royā
sañgīñ-dilī  us  but  kī  maiñ  jis  se  kahī  'hasrat'
har-chand  dil  us  kā  thā  faulād  bahut  royā