dāman  hai  merā  dasht  kā  dāmān  dūsrā
merī  tarah  na  phāḌe  garebān  dūsrā
yak-rañg  huuñ  maiñ  us  gul-e-ra.anā  ke  ishq  meñ
bulbul  na  huuñ  ki  DhūñDūñ  gulsitān  dūsrā
thā  hī  ġham-e-firāq  milā  us  meñ  dard-e-rashk
muflis  ke  ghar  meñ  aayā  ye  mehmān  dūsrā
terī  hayā-e-chashm  sā  dekhā  nahīñ  raqīb
yaañ  ehtiyāj  kyā  hai  nigahbān  dūsrā
uryāñ-tanoñ  ke  sar  pe  tirī  ḳhāk-e-kū  rahe
dar-kārvāñ  nahīñ  sar-o-sāmān  dūsrā
kiije  zamīr-e-ḳhāk  ko  aadam  kī  chhān  agar
us  shakl  kā  ban  aave  na  insān  dūsrā
jū-ul-baqar  rakhe  ye  shaiḳh-e-shikam-parast
ik  ḳhvān  khā  kahe  hai  kahāñ  ḳhvān  dūsrā
sair-e-ajab  rakhe  hai  tirī  jalva-gāh-e-nāz
is  lutf  kā  kahāñ  hai  ḳhyābān  dūsrā
naqd-e-dil  us  ko  denā  hai  'hasrat'  savāb  o  farz
us  zulf  sā  na  hogā  pareshān  dūsrā