hai  rashk-e-vasl  se  ġham-e-dildār  hī  bhalā
rāhat  se  aisī  ham  ko  vo  dil-āzār  hī  bhalā
duniyā  meñ  yaaro  yār-e-vafādār  hī  nahīñ
aur  jo  na  ho  to  rahnā  hai  be-yār  hī  bhalā
ma.ashūq  kā  nazāra  mayassar  ho  yā  na  ho
āshiq  hamesha  tālib-e-dīdār  hī  bhalā
zaarī  pe  merī  rahm  bhī  kar  aa  ḳhudā  ko  maan
kāfir  rahegā  ham  se  tū  bezār  hī  bhalā
atvār-e-bad  hai  ġhair  se  ḳhulta  mire  huzūr
is  ke  evaz  na  kar  tū  hameñ  pyaar  hī  bhalā
zaḳhmoñ  se  ġham  ke  terā  kaleja  to  chhil  gayā
bulbul  hai  aise  gul  se  tujhe  ḳhaar  hī  bhalā
ik  jur.a  dard-e-mai  pe  ho  itnā  na  talḳh-o-tund
saaqī  maiñ  aise  mast  se  hoshyār  hī  bhalā
'hasrat'  burā  kiyā  maiñ  uThāyā  dil  us  se  kyuuñ
dildār  gar  na  thā  to  dil-āzār  hī  bhalā