merī  us  pyārī  jhab  se  aañkh  lagī
us  sarāpā  ajab  se  aañkh  lagī
ishq  meñ  ḳhvāb  kā  ḳhayāl  kise
na  lagī  aañkh  jab  se  aañkh  lagī
ḳhvāb  meñ  bhī  na  dekhā  ham  ne  lutf
kis  sarāpā  ġhazab  se  aañkh  lagī
jitne  ḳhush-chashm  haiñ  zamāne  meñ
rahtī  hai  merī  sab  se  aañkh  lagī
raat  hamsāyoñ  kī  na  sub.h  talak
merī  afġhān-e-shab  se  aañkh  lagī
yaar  aatā  nazar  nahīñ  aatā
hai  idhar  merī  kab  se  aañkh  lagī
rahtī  hai  us  nigāh-e-kāfir  kī
ranjish-e-be-sabab  se  aañkh  lagī
mujh  ko  mat  dekh  hai  balā  'hasrat'
yār-e-āshiq-e-talab  se  aañkh  lagī