siina  to  DhūñD  liyā  muttasil  apnā  ham  ne
nahīñ  mālūm  diyā  kis  ko  dil  apnā  ham  ne
ahd  kyā  kar  ke  tire  dar  se  uThe  the  qismat
phir  dikhāyā  tujhe  rū-e-ḳhajil  apnā  ham  ne
merī  ālūdgiyoñ  se  na  kar  ikrāh  ai  shaiḳh
kuchh  banāyā  to  nahīñ  āb-o-gil  apnā  ham  ne
saḳht  kāfir  kā  dil  afsos  na  sharmāyā  kabhī
puujā  juuñ  but  to  bahut  sañg-dil  apnā  ham  ne
paanī  pahuñchā  sake  jab  tak  mirī  chashm-e-namnāk
jal  bujhā  paayā  dil-e-mushta.il  apnā  ham  ne
baad  sau  ranjish-e-bejā  ke  na  paayā  ba-ġhalat
na  pashīmān  tujhe  munfa.il  apnā  ham  ne
dar  ġharībī  na  thā  kuchh  aur  mayassar  'hasrat'
ishq  kī  nazr  kiyā  diin  o  dil  apnā  ham  ne