Hasrat Azimabadi

chahe so hamein kar tu gunahgar hain tere

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
chāhe so hameñ kar tū gunahgār haiñ tere
taqdīr thī apnī ki giraftār haiñ tere
marte haiñ kabhī aa ke hamārī bhī ḳhabar le
aah ai but-e-bedard ye bīmār haiñ tere
naqd-e-dil-o-dīñ muft meñ de baiTheñge āḳhir
ham āshiq-e-muflis ki ḳharīdār haiñ tere
ḳhvāhish hai na bose kī na āġhosh se matlab
dīdār ke yaañ sirf talabgār haiñ tere
hai rū-e-zamīñ arsa-e-mahshar unheñ har roz
jo dil-shuda-e-qāmat-o-raftār haiñ tere
ham vasl meñ aur hijr meñ jalte rahe un se
kyā dāġh-e-jigar ye gul-e-ruḳhsār haiñ tere
saugand hai 'hasrat' mujhe ejāz-e-suḳhan kī
ye sehr haiñ jaadū haiñ na ash.ār haiñ tere
Top Urdushayar.com