husn  ko  us  ke  ḳhat  kā  daaġh  lagā
par  hameñ  to  bahār  o  baaġh  lagā
ghar  se  juuñ  māh-e-be-hijāb  nikal
ab  to  ai  sham.a-rū  charāġh  lagā
bādshāhoñ  kī  bazm-e-ishrat  se
apnā  mat  gosha-e-farāġh  lagā
ātishīñ  ashk  ek  dam  jo  thamā
ḳhāna-e-dīda  be-charāġh  lagā
le  ḳhabar  ab  tū  sāqī-e-sar-e-dast
ḳhushk  hone  mirā  dimāġh  lagā
kis  ko  ye  ḳhūn-e-dil  milī  daulat
us  ke  hoñToñ  se  jā  ayāġh  lagā
dil-e-gum-gashta  kā  mire  'hasrat'
lag  sake  to  kahīñ  surāġh  lagā