na  chhuTā  haath  se  yak  lahza  garebāñ  merā
chashm-e-tar  hī  pe  rahā  gosha-e-dāmāñ  merā
jis  taraf  guzre  kare  rū-e-zamīñ  ko  gulzār
sair-e-gulshan  se  phire  jab  gul-e-ḳhandāñ  merā
kheleñ  aapas  meñ  parī-chehra  jahāñ  zulfeñ  khol
kaun  pūchhe  hai  vahāñ  hāl-e-pareshāñ  merā
baḳht  haiñ  shor  ye  apne  hī  ki  vo  naushīñ  lab
auroñ  kā  chashma-e-haivāñ  hai  namak-dāñ  merā
auroñ  kī  āñkhoñ  ko  dekhūñ  huuñ  maiñ  dīdār-nasīb
banā  rone  ko  yahī  dīda-e-giryāñ  merā
duur  us  lab  se  jo  guzre  hai  dil-e-pur-ḳhūñ  par
jaane  merā  hī  jigar  aur  ye  dandāñ  merā
be-ajal  martā  rahā  ishq  meñ  us  ke  umr  bhar
kahūñ  kis  muñh  pe  maiñ  'hasrat'  vo  hai  jānāñ  merā