Hasrat Azimabadi

ya ilahi mera dildar salamat bashad

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795

ilāhī mirā dildār salāmat bāshad

vo valī nemat-e-dīdār salāmat bāshad

nek-o-bad se hai mirī ḳhātir-e-nāshād āzād

ġham-gusār apnā ġham-e-yār salāmat bāshad

na rakhī dil meñ hamāre tama-e-ḳhām-e-visāl

rashk-e-aġhyār āzār salāmat bāshad

gar na de sharbat-e-unnāb mujhe vo lab-e-lāl

ishva-e-nargis-e-bīmār salāmat bāshad

ḳhāksāroñ koī go na hue pusht-panāh

sar pe vo sāya-e-dīvār salāmat bāshad

us sag-e-kū nahīñ kuchh mujhe muddat se ḳhabar

vo mirā yār-e-vafādār salāmat bāshad

qatl-e-āshiq ke ta.iiñ go hove yak shahr gavāh

vo tirā naaz se inkār salāmat bāshad

mard-e-haq rahe duniyā meñ alam-e-nām buland

nahīñ mansūr agar daar salāmat bāshad

yaar mehr-o-muravvat pe na rakh dil 'hasrat'

ye tirā ishq iz.hār salāmat bāshad

Top Urdushayar.com