ek-dam  ḳhushk  mirā  dīda-e-tar  hai  ki  nahīñ
mājare  se  mire  tujh  ko  bhī  ḳhabar  hai  ki  nahīñ
yuuñ  to  uThte  hai  mire  dil  se  hazāroñ  naale
lekin  in  ḳhāna-ḳharāboñ  meñ  asar  hai  ki  nahīñ
haal  merā  tujhe  be-dard  nahīñ  gar  bāvar
dekh  le  aa  ke  ki  ab  nau-e-digar  hai  ki  nahīñ
mere  ghar  kyūñki  tū  aave  ki  galī-kūchoñ  meñ
tere  mushtāq  kahāñ  aur  kidhar  hai  ki  nahīñ
tujh  meñ  bū  paa.ī  na  mutlaq  kahīñ  jinsiyyat  kī
nasl-e-ādam  se  tū  ai  shoḳh  pisar  hai  ki  nahīñ
bul-havas  dil  ko  kar  apne  zarā  bas  meñ  'hasrat'
mard-e-be-sabr  tujhe  kuchh  bhī  jigar  hai  ki  nahīñ