jaan  kar  kahtā  hai  ham  se  apne  jaane  kī  ḳhabar
jī  Dubā  detī  hai  merā  ye  bahāne  kī  ḳhabar
is  chaman  meñ  kaun  hai  dil-soz  apnā  tujh  sivā
rakhiyo  Tuk  ai  barq  mere  āshiyāne  kī  ḳhabar
pūchhtā  niiñ  apne  kūche  meñ  tū  merā  haal  haa.e
le  thī  lailā  dasht  meñ  apne  divāne  kī  ḳhabar
haiñ  qafas  meñ  jab  se  ham  us  sañg-dil  sayyād  ke
ashk  hī  letā  hai  merā  āb-o-dāne  kī  ḳhabar
ham  na  jāneñ  kis  taraf  ka.aba  hai  aur  kīdhar  hai  dair
ek  rahtī  hai  yahī  us  dar  pe  jaane  kī  ḳhabar
har  gul-e-dāġh-e-junūñ  par  aur  hai  kuchh  āb-o-rañg
pher  hai  gulshan  meñ  goyā  gul  ke  aane  kī  ḳhabar
aaj  siine  meñ  mire  dil  hai  nipaT  hī  be-qarār
de  hai  'hasrat'  ġhair  ke  ghar  us  ke  jaane  kī  ḳhabar