azīzo  tum  na  kuchh  us  ko  kaho  huā  so  huā
nipaT  hī  tund  hai  zālim  kī  ḳhū  huā  so  huā
ḳhatā  se  us  kī  nahīñ  naam  ko  ġhubār-e-malāl
maiñ  ro  ro  Daalā  hai  sab  dil  se  dho  huā  so  huā
mirī  ḳhatā  yā  jafā  thī  tirī  ye  kyā  hai  zikr
huā  jo  chāhiye  phir  to  na  ho  huā  so  huā
hañse  hai  dil  meñ  ye  nā-dardmand  sab  sun  sun
to  dukh  ko  ishq  ke  ai  dil  na  ro  huā  so  huā
sitamgaro  jo  tumheñ  rahm  kī  ho  kuchh  taufīq
sitam  kī  apne  talāfī  karo  huā  so  huā
tū  kaun  hai  ki  ho  milne  se  ġhair  kai  maan.e
dil  us  ko  haath  se  apne  na  kho  huā  so  huā
na  sarguzisht  mirī  pūchh  mujh  se  kuchh  ai  baḳht
tū  apne  ḳhvāb-e-farāġhat  meñ  so  huā  so  huā
mohabbat  ek  tarah  kī  nirī  samājat  hai
maiñ  chhoḌūñ  huuñ  tirī  ab  justujū  huā  so  huā
bayān-e-hāl  se  ruktā  hai  'hasrat'  ab  yaaro
na  pūchho  us  se  na  kuchh  tum  kaho  huā  so  huā