hai  yaad  tujh  se  merā  vo  sharh-e-hāl  denā
aur  sun  ke  terā  us  ko  hañs  hañs  ke  Taal  denā
kar  kar  ke  yaad  us  kī  behāl  huuñ  nihāyat
fursat  zarā  tū  mujh  ko  tū  ai  ḳhayāl  denā
us  zulf-e-kaj  ke  uqde  hargiz  khule  na  mujh  par
kyuuñ  us  ko  shāna  kar  ke  ek  ek  baal  denā
maiñ  mudda.ā  ko  apne  mahmil  kahūñ  huuñ  tujh  se
gosh-e-dil  apnā  īdhar  sāhab-e-jamāl  denā
is  umr  bhar  meñ  tujh  se  māñgā  hai  ek  bosa
ḳhālī  paḌe  na  pyāre  merā  savāl  denā
ham  se  rukhā.iyāñ  aur  muñh  jhulse  mudda.ī  kā
bosa  pe  bosa  har  dam  duuñ  be-savāl  denā
yā-rab  kisī  pe  hargiz  āshiq  koī  na  ho  jo
dil  haath  dilbaroñ  ke  hai  bad-ma.āl  denā
vo  mehrbāñ  ki  ham  ko  altāf-e-bar-mahal  se
paas  apne  se  thā  us  ko  uThne  muhāl  denā
dekhe  hai  duur  se  to  kahtā  hai  be-muravvat
ye  kaun  aa  ghusā  hai  is  ko  nikāl  denā
qaabū  hai  terā  'hasrat'  mat  chhoḌ  mudda.ī  ko
dushman  ko  maslahat  niiñ  hargiz  majāl  denā