kab  talak  ham  ko  na  āvegā  nazar  dekheñ  to
kaise  tarsātā  hai  ye  dīda-e-tar  dekheñ  to
ishq  meñ  us  ke  ki  guzre  haiñ  sar  o  jaan  se  ham
apnī  kis  taur  se  hotī  hai  guzar  dekheñ  to
kar  ke  vo  jaur-o-sitam  hañs  ke  lagā  ye  kahne
aah  o  afġhāñ  kā  tirī  ham  bhī  asar  dekheñ  to
sabr  ho  saktā  hai  kab  ham  se  vale  maslahatan
āzmā.ish  dil-e-betāb  kī  kar  dekheñ  to
Dhab  chaḌhe  ho  mire  tum  aaj  hī  to  muddat  baad
jā.eñge  aap  kahāñ  aur  kidhar  dekheñ  to
kis  dilerī  se  kare  hai  tū  fidā  jaan  us  par
dil-e-jāñ-bāz  tirā  ham  bhī  hunar  dekheñ  to
kyā  majāl  apnī  jo  kuchh  kah  sakeñ  ham  tujh  se  aur
tujh  ko  bhar  kar  nazar  ai  shoḳh  pisar  dekheñ  to
ho  chalīñ  ḳhīra  to  aḳhtar-shumarī  se  āñkheñ
shab  hamārī  bhī  kabhī  hogī  sahar  dekheñ  to
ishq  ke  sadme  uThāne  nahīñ  āsāñ  'hasrat'
kar  sake  koī  hamārā  sā  jigar  dekheñ  to