vafā  ke  haiñ  ḳhvān  par  nivāle  ze-a.āb  avval  do.am  ba-ātish
bhare  hai  saaqī  yahāñ  pyāle  ze-āb  avval  do.am  ba-ātish
chaman  meñ  josh-e-junūñ  ke  haiñ  ashk  aur  dāġh-e-darūñ  se  apne
karūñ  shagufta  gul  aur  laale  ze-āb  avval  do.am  ba-ātish
hamāre  ashk  aur  aah  kī  maujeñ  bāñdh  detī  haiñ  sab  jo  duurī
bane  haiñ  māh-e-falak  pe  haale  ze-āb  avval  do.am  ba-ātish
jahāñ  ke  sab  garm  o  sard  dekhe  na  zauq  hai  un  meñ  kuchh  na  lazzat
do  roz  chhātī  yahāñ  pakāle  ze-āb  avval  do.am  ba-ātish
do  hukm  haiñ  shāh-e-ishq  ke  in  meñ  ek  galnā  hai  ek  jalnā
haiñ  daftar-e-dard  meñ  qabāle  ze-āb  avval  do.am  ba-ātish
na  khol  vaa.iz  kitāb-e-dānish  ki  ātish-e-ishq  o  āb-e-mai  se
dho.ūñ  jalā.ūñ  tire  risāle  ze-āb  avval  do.am  ba-ātish
sitam  hai  aafat  hai  mahr  yā  kiiñ  balā  ye  ishq-e-satīza-gar  kī
diloñ  ke  ḳhāne  ujaaḌ  Daale  ze-āb  avval  do.am  ba-ātish
paḌe  haiñ  ham  ḳhūn-e-dil  meñ  ġhaltāñ  jigar  hai  dāġh-e-jafā  se  sozāñ
koī  hai  apne  ta.iiñ  sambhāle  ze-āb  avval  do.am  ba-ātish
visāl  kī  justujū  meñ  'hasrat'  chalā  na  zaarī  na  zor  kā  kuchh
bahut  se  yaañ  ham  ne  Dhab  nikāle  ze-āb  avval  do.am  ba-ātish