har  taraf  hai  us  se  mere  dil  ke  lag  jaane  meñ  dhuum
bulbul-o-gul  meñ  hai  chah-chah  sham-o-parvāne  meñ  dhuum
fitna-gar  hai  nāz-o-ishva  us  kī  chashm-e-shoḳh  meñ
juuñ  machāveñ  pī  ke  mai  badmast  mai-ḳhāne  meñ  dhuum
yaad  meñ  apnī  hai  shāyad  vo  farāmush-kār  bhī
dil  kare  hai  mujh  se  us  kī  yaad  dilvāne  meñ  dhuum
jis  tarah  bād-e-ḳhizāñ-dīda  meñ  aatī  hai  bahār
shahr  meñ  hotī  hai  us  ke  mere  ghar  aane  meñ  dhuum
naubat  auroñ  kī  to  ai  saaqī  subū-pardāz  hai
kyā  machā.ī  hai  hamāre  ek  paimāne  meñ  dhuum
juuñ  bulandī  se  gire  hai  ḳhaak  par  koī  za.iif
hai  mirī  us  shoḳh  kī  nazroñ  se  gir  jaane  meñ  dhuum
dekh  to  le  ser  ho  kar  tujh  ko  ye  ḳhāna-ḳharāb
aate  hī  kyā  hai  tirī  itnī  bhī  ghar  jaane  meñ  dhuum
barhaman  hone  ko  aatā  hai  nayā  shaiḳh  aaj  kaun
ho  rahī  hai  har  taraf  'hasrat'  sanam-ḳhāne  meñ  dhuum