ishq  meñ  gul  ke  jo  nālāñ  bulbul-e-ġhamnāk  hai
gul  bhī  us  ke  ġham  meñ  dekho  kiyā  garebāñ-chāk  hai
dāġh-bar-dāġh  ashk-bar-ashk  apnī  chashm  o  dil  meñ  haiñ
kyā  balā  gul-ḳhez  ai  yaaro  ye  musht-e-ḳhāk  hai
ai  ḳhizar  jā.ūñ  kahāñ  maiñ  kūcha-e-mai-ḳhāna  chhoḌ
ḳhush-dilī  kā  maulid  o  manshā  ye  ḳhāk-e-pāk  hai
ġharq-sar-tā-pā  huuñ  bahr-e-be-karān-e-ḳhūñ  meñ  maiñ
āshnā  pūchhe  hai  to  ye  chashm  kyuuñ  namnāk  hai
sarv  kī  nisbat  se  us  qadd-e-balā  baalā  ko  kyā
ḳhushk  chob-e-pā  bigul  ye  vo  qad-e-chālāk  hai
haa.e  kin  āñkhoñ  se  dekhūñ  us  ruḳh-e-raushan  pe  ḳhat
chashma-e-ḳhurshīd  meñ  ye  kyā  ḳhas-o-ḳhāshāk  hai
kāfir  o  momin  ko  riqqat  ġham  meñ  hai  'hasrat'  ke  haa.e
kuchh  ḳhudā  kā  Dar  bhī  tujh  ko  ai  but-e-bebāk  hai