har  ghaḌī  mat  ruuTh  us  se  pher  pal  meñ  mil  na  jā
gar  bhalā  mānas  hai  us  kūche  meñ  tū  ai  dil  na  jā
avval-e-ishq  un  butoñ  kā  lutf  hai  dām-e-fareb
us  kī  mehr-o-dilbarī  par  ai  dil-e-mā.il  na  jā
teġh-e-kīñ  se  ḳhāk-o-ḳhūñ  meñ  kar  liyā  haa.e  mujhe
raqs-e-bismil  kā  tamāshā  dekh  ai  qātil  na  jā
ham-sarī  kā  us  qad-e-mauzūñ  se  tū  da.avā  na  kar
apnī  had  se  bāhar  ai  shamshād-e-pādar-gil  na  jā
ishq  ke  kū  meñ  ki  hai  jā-e-malāmat  be-ḳhabar
aanā  phir  vaañ  se  salāmat  hai  bahut  mushkil  na  jā
zāhidā  rindoñ  kī  gustāḳhī  ko  ḳhātir  meñ  na  lā
ham  se  dīvānoñ  kī  bātoñ  par  tū  ai  aaqil  na  jā
haath  maltā  hī  rahā  'hasrat'  dil  us  ko  de  ke  haif
haath  se  aisī  tarah  yā-rab  kisī  kā  dil  na  jā