inqilāb-e-dahr  ruk  ruk  kar  javāñ  bantā  gayā
jo  subuk-sar  thā  vahī  sañg-e-garāñ  bantā  gayā
naġhma-e-dil  jab  baḌhā  āh-o-fuġhāñ  bantā  gayā
āsmāñ  ik  aur  zer-e-āsmāñ  bantā  gayā
jaane  kyā  bhar  dī  haiñ  us  ne  is  chaman  meñ  shoḳhiyāñ
jo  bhī  aayā  vo  chaman  kā  rāz-dāñ  bantā  gayā
har-nafas  ko  apnī  manzil  kā  pata  miltā  nahīñ
jo  jahāñ  Thahrāv  haiñ  ik  kārvāñ  bantā  gayā
sard  aahoñ  kā  tasarruf  ho  to  soz-e-dil  kahāñ
dil  se  jo  sho.ala  uThā  vo  bhī  dhuāñ  bantā  gayā
be-sabab  hotā  nahīñ  jazbāt-e-dil  kā  valvala
jis  ne  samjhā  aa.ī  apnā  rāz-dāñ  bantā  gayā
kuchh  bahāroñ  meñ  ḳhizāñ  hai  kuchh  ḳhizāñ  meñ  hai  bahār
phuul  murjhā.e  to  ġhuncha  gulistāñ  bantā  gayā
aadmī  kī  asliyat  ko  aadmī  samjhā  nahīñ
ek  qatra  thā  jo  bahr-e-be-karāñ  bantā  gayā
ham  to  baiThe  hī  rahe  apnī  asīrī  ko  liye
banñe  vaalā  kaam  be-vahm-o-gumāñ  bantā  gayā
'mīr'-o-'ġhālib'  se  baḌhe  to  hazrat-e-iqbāl  tak
shaġhl  sher-o-shā.erī  kā  jāvedāñ  bantā  gayā
dahr  meñ  ye  bhī  to  haiñ  qānūn-e-fitrat  ke  usuul
jo  nazar  se  gir  gayā  vo  dilsitāñ  bantā  gayā
barq  kī  sar-garmiyāñ  tasnīm  phir  bhī  ai  'kalīm'
bijliyāñ  girtī  raheñ  aur  āshiyāñ  bantā  gayā