mohabbat  meñ  na  jaañ  ko  jaañ  na  dil  ko  dil  samajhte  haiñ
use  āsāñ  banāte  haiñ  jise  mushkil  samajhte  haiñ
ham  apnī  zindagānī  kī  taġhayyur-ḳhez  rāhoñ  ko
kabhī  jaada  samajhte  haiñ  kabhī  manzil  samajhte  haiñ
hamārā  maqsad-e-avval  hai  jazb-e-shauq-o-sar-mastī
yahī  vo  zindagī  hai  jis  ko  ham  kāmil  samajhte  haiñ
tū  apne  dil  kī  kamzorī  ko  samjhā  hai  na  samjhegā
vahī  mushkil  meñ  haiñ  mushkil  ko  jo  mushkil  samajhte  haiñ
'kalīm'  ahl-e-takallum  kī  subuk  bātoñ  se  kyuuñ  uljheñ
ham  apnī  zindagī  ko  sahl  yā  mushkil  samajhte  haiñ