zor-e-bāzū  bhī  hai  aur  sāmne  naḳhchīr  bhī  hai
dekhnā  ye  hai  ki  tarkash  meñ  koī  tiir  bhī  hai
kis  tarah  ishq-e-majāzī  ko  haqīqī  kar  luuñ
sāmne  tū  hai  baġhal  meñ  tirī  tasvīr  bhī  hai
kuchh  nahīñ  hai  tire  hāthoñ  meñ  lakīroñ  ke  sivā
baat  nāseh  kī  hai  lekin  ḳhat-e-taqdīr  bhī  hai
chheḌtī  hai  mujhe  aa  aa  ke  mirī  āzādī
go  maiñ  qaidī  huuñ  mire  paañv  meñ  zanjīr  bhī  hai
mere  hone  kā  mire  hosh  ko  ehsās  nahīñ
varna  jo  qatra-e-ḳhūñ  hai  vo  sharar-gīr  bhī  hai
ahl-e-dil  ke  liye  āzār  hai  duniyā  ko  mufīd
aql  ik  hosh  hai  aur  hosh  kī  ta.abīr  bhī  hai
koī  samjhe  ki  na  samjhe  tire  ash.ār  'kalīm'
zor-e-'ġhālib'  bhī  hai  aur  dilkashī-e-'mīr'  bhī  hai