surūr-o-kaif  hai  kuchh  lazzat-e-baqā  to  nahīñ
ye  ibtidā  kī  haqīqat  hai  intihā  to  nahīñ
sitāre  tiir  nigāhoñ  se  dekhte  kyuuñ  haiñ
mirā  junūñ  koī  mere  liye  balā  to  nahīñ
fareb  khaa.e  na  kyuuñ  kar  kisī  kā  saada  dil
zamāna-sāz  nigāhoñ  se  āshnā  to  nahīñ
kahīñ  girī  to  hai  bijlī  zarā  nazar  kiije
kisī  ġharīb  kī  palTī  huī  duā  to  nahīñ
hazār  baar  ḳhizāñ  se  bahār  Takrā.ī
chaman  kā  raaz  magar  aaj  tak  khulā  to  nahīñ
mizāj-e-husn  mukaddar  hai  kyuuñ  ḳhudā  jaane
is  aa.ine  meñ  koī  baal  aa  gayā  to  nahīñ
hujūm-e-nāz  meñ  jalva-farebiyoñ  ke  sivā
'kalīm'  aur  koī  hādisa  huā  to  nahīñ