jaane  kitnī  uḌaan  baaqī  hai
is  parinde  meñ  jaan  baaqī  hai
jitnī  baTnī  thī  baT  chukī  ye  zamīñ
ab  to  bas  āsmān  baaqī  hai
ab  vo  duniyā  ajiib  lagtī  hai
jis  meñ  amn-o-amān  baaqī  hai
imtihāñ  se  guzar  ke  kyā  dekhā
ik  nayā  imtihān  baaqī  hai
sar  qalam  hoñge  kal  yahāñ  un  ke
jin  ke  muñh  meñ  zabān  baaqī  hai