kuchh  parindoñ  ko  to  bas  do  chaar  daane  chāhiyeñ
kuchh  ko  lekin  āsmānoñ  ke  ḳhazāne  chāhiyeñ
dostoñ  kā  kyā  hai  vo  to  yuuñ  bhī  mil  jaate  haiñ  muft
roz  ik  sach  bol  kar  dushman  kamāne  chāhiyeñ
tum  haqīqat  ko  liye  baiThe  ho  to  baiThe  raho
ye  zamāna  hai  ise  har  din  fasāne  chāhiyeñ
roz  in  āñkhoñ  ke  sapne  TuuT  jaate  haiñ  to  kyā
roz  in  āñkhoñ  meñ  phir  sapne  sajāne  chāhiyeñ
bār-hā  ḳhush  ho  rahe  haiñ  kyuuñ  inhī  bātoñ  pe  log
bār-hā  jin  pe  unheñ  aañsū  bahāne  chāhiyeñ