ye  kab  chāhā  ki  maiñ  mash.hūr  ho  jā.ūñ
bas  apne  aap  ko  manzūr  ho  jā.ūñ
nasīhat  kar  rahī  hai  aql  kab  se
ki  maiñ  dīvāngī  se  duur  ho  jā.ūñ
na  bolūñ  sach  to  kaisā  ā.īna  maiñ
jo  bolūñ  sach  to  chaknā-chūr  ho  jā.ūñ
hai  mere  haath  meñ  jab  haath  terā
ajab  kyā  hai  jo  maiñ  maġhrūr  ho  jā.ūñ
bahāna  koī  to  ai  zindagī  de
ki  jiine  ke  liye  majbūr  ho  jā.ūñ
sarāboñ  se  mujhe  sairāb  kar  de
nashe  meñ  tishnagī  ke  chuur  ho  jā.ūñ
mire  andar  se  gar  duniyā  nikal  jaa.e
maiñ  apne-āp  meñ  bharpūr  ho  jā.ūñ