safar  meñ  ab  ke  ajab  tajraba  nikal  aayā
bhaTak  gayā  to  nayā  rāsta  nikal  aayā
mere  hī  naam  kī  taḳhtī  lagī  thī  jis  dar  par
vo  jab  khulā  to  kisī  aur  kā  nikal  aayā
dukhoñ  kī  jhāḌiyāñ  ugtī  chalī  ga.iiñ  dil  meñ
har  ek  jhāḌī  se  jañgal  ghanā  nikal  aayā
ik  aur  naam  juḌā  dushmanoñ  ke  nāmoñ  meñ
ik  aur  dost  mirā  ā.īna  nikal  aayā
kuchh  aaj  ashkoñ  kī  lazzat  na.ī  na.ī  sī  hai
purāne  ġham  kā  nayā  zā.iqa  nikal  aayā
ye  merā  aks  hai  yā  aur  hai  koī  mujh  meñ
ki  jis  kā  qad  mire  qad  se  baḌā  nikal  aayā
baḌhe  kuchh  is  tarah  donoñ  hī  dostī  kī  taraf
ki  darmiyāñ  meñ  nayā  fāsla  nikal  aayā
duā  salām  se  aage  jo  thoḌī  baat  baḌhī
jo  us  kā  dukh  thā  vahī  dukh  mirā  nikal  aayā
mirī  ġhazal  meñ  kisī  bevafā  kā  zikr  na  thā
na  jaane  kaise  tirā  tazkira  nikal  aayā