Rajesh Reddy

likh likh ke aansuon se diwan kar liya hai

Rajesh Reddy

Nagpur, Maharashtra, India

1952

likh likh ke āñsuoñ se dīvān kar liyā hai

apne suḳhan ko apnī pahchān kar liyā hai

āḳhir haTā diiñ ham ne bhī zehn se kitābeñ

ham ne bhī apnā jiinā āsān kar liyā hai

duniyā meñ āñkheñ kholī haiñ mūñdne ḳhātir

aate lauTne sāmān kar liyā hai

sab log is se pahle ki devtā samajhte

ham ne zarā ḳhud ko insān kar liyā hai

jin nekiyoñ pe chal kar ajdād kitne ḳhush the

ham ne unhī pe chal kar nuqsān kar liyā hai

har baar apne dil bāteñ zabāñ pe kar

ham ne musībatoñ ko mehmān kar liyā hai

aksar huā hai marne maañg kar duā.eñ

phir ham ne zindagī armān kar liyā hai

ik dil ke TūTne par rotā hai koī itnā

jhoñke ko ḳhud hamīñ ne tūfān kar liyā hai

sochā bhī hai ki daanā banñe koshishoñ meñ

kyā haal apnā ne nādān kar liyā hai

kuchh is tarah guzārā hai zindagī ko ham ne

jaise ki ḳhud pe koī ehsān kar liyā hai

Top Urdushayar.com