shāyad  koī  nigāh  kare  merī  zaat  par
dastak  to  de  rahā  huuñ  dar-e-kā.enāt  par
dushman  se  kah  rahā  huuñ  tirī  anjuman  kā  raaz
yā  phuul  rakh  rahā  huuñ  maiñ  sho.ale  ke  haat  par
apnā  bhī  qatl  ham  ne  ka.ī  Dhañg  se  kiyā
ab  koī  chauñktā  hī  nahīñ  hādsāt  par
behoshiyoñ  ko  niiñd  se  nisbat  zarūr  hai
kuchh  ḳhaar  bhī  bichhā  le  ridā-e-hayāt  par
ai  'nūr'  vo  to  hukm-e-sazā  de  ke  chal  diyā
lafzoñ  kā  saarā  ḳhuun  rahā  merī  zaat  par