merā  shikva  tirī  mahfil  meñ  adū  karte  haiñ
us  pe  bhī  sabr  ham  ai  arbada-jū  karte  haiñ
mashq-e-bedād-o-sitam  karte  haiñ  gar  vo  to  yahāñ
ham  bhī  bedād  o  sitam  sahne  kī  ḳhū  karte  haiñ
jaañ  huī  hai  nigah-e-nām  pe  un  kī  āshiq
chaak  dil  tār-e-nazar  se  jo  rafū  karte  haiñ
be-sabātī  chaman-e-dahr  kī  hai  jin  pe  khulī
havas-e-rañg  na  vo  ḳhvāhish-e-bū  karte  haiñ
aaj  shamshīr  ba-kaf  nikle  haiñ  vo  dekhiye  tar
āb-e-shamshīr  se  kis  kis  ke  gulū  karte  haiñ
hai  rachī  jin  ke  dimāġhoñ  meñ  tirī  zulf  kī  bū
ambar  o  mushk  kī  kab  bū  ko  vo  bū  karte  haiñ
mushk  o  ambar  kā  unheñ  naam  bhī  lenā  hai  nañg
yaar  kī  zulf-e-mo.ambar  ko  jo  bū  karte  haiñ
chaak  karte  haiñ  garebāñ  ko  vahshat  meñ  kabhī
chāk-e-dil  meñ  kabhū  nāḳhun  ko  farū  karte  haiñ
dekh  saudā-zada-e-ulfat-e-ḳhūbāñ  ai  'aish'
vādi-e-ishq  meñ  kyā  kyā  tag-o-pū  karte  haiñ