jis  dil  meñ  tirī  zulf  kā  saudā  nahīñ  hotā
vo  dil  nahīñ  hotā  nahīñ  hotā  nahīñ  hotā
āshiq  jise  kahte  haiñ  vo  paidā  nahīñ  hotā
aur  ho.e  bhī  bil-farz  to  mujh  sā  nahīñ  hotā
jo  kushta-e-teġh-e-nigah-e-yār  haiñ  un  par
kuchh  kārgar  ejāz-e-masīhā  nahīñ  hotā
maanā  ki  sitam  karte  haiñ  ma.ashūq  magar  aap
jo  mujh  pe  ravā  rakhte  haiñ  aisā  nahīñ  hotā
jo  mast  hai  saaqī  nigah-e-mast  kā  vo  tū
minnat-kash-e-jām-o-mai-o-mīnā  nahīñ  hotā
kahtā  hai  koī  sho.ala-e-javvāla  koī  barq
is  dil  pe  gumāñ  logoñ  ko  kyā  kyā  nahīñ  hotā
zāhid  ho  do-chār-e-nigah-e-mast  to  dekheñ
ālūda  ba-mai  kyūñki  musallā  nahīñ  hotā
haañ  kuchh  to  bayān-e-havas-e-dil  meñ  hai  lazzat
jo  lab  se  judā  harf-e-tamannā  nahīñ  hotā
taskīn-e-dil-e-soḳhta-e-shamm.a  kī  ḳhātir
kis  shab  par-e-parvāna  se  pañkhā  nahīñ  hotā
dil  ishq  ne  itnā  bhī  na  chhoḌā  ki  jo  kahveñ
taqsīm  juz-e-lā-yatajazzā  nahīñ  hotā
de  baiThe  ho  dil  'aish'  tum  un  logoñ  ko  jin  kī
bedād  kā  vaañ  bhī  koī  shunvā  nahīñ  hotā