phirā  kisī  kā  ilāhī  kisī  se  yaar  na  ho
koī  jahān  meñ  bargashta-e-rozgār  na  ho
ham  us  kī  chashm-e-siyah-mast  ke  haiñ  mastāne
ye  vo  nashe  haiñ  ki  jis  kā  kabhī  utaar  na  ho
jahān  meñ  koī  kahtā  nahīñ  ḳhudā-lagtī
vo  kyā  kare  jise  dil  par  bhī  iḳhtiyār  na  ho
na  phāḌe  dāman-e-sahrā  ko  kyuuñ  ki  dast-e-junūñ
rahā  jab  apne  garebāñ  meñ  ek  taar  na  ho
na  khel  jaan  par  apnī  tū  ai  dil-e-nādāñ
ḳhudā  ko  yaad  kar  itnā  tū  be-qarār  na  ho
na  bhuul  zohd  pe  lazzat  se  baḳhshish-e-haq  kī
vo  be-nasīb  hai  jab  tak  gunāhgār  na  ho
tumhāre  sar  kī  qasam  khā  ke  dard  dil  kā  kahūñ
jo  mere  likhne  kā  yuuñ  tum  ko  e'tibār  na  ho
janāb-e-shaiḳh  jī  sāhib  maiñ  ek  arz  karūñ
agar  mizāj-e-muqaddas  pe  nāgavār  na  ho
janāb  rindoñ  se  milte  to  haiñ  pe  Dar  hai  mujhe
ki  dushmanoñ  kā  kisī  din  vahāñ  achār  na  ho
bahut  hai  ḳhema-e-gardūñ  ke  phūñkne  ko  to  'aish'
is  āh-e-tufta  jigar  meñ  asar  hazār  na  ho