dost  jab  dil  sā  āshnā  hī  nahīñ
ab  hameñ  ġhair  kā  gila  hī  nahīñ
jis  kā  dil  dard-āshnā  hī  nahīñ
us  ke  jiine  kā  kuchh  mazā  hī  nahīñ
ek  dam  ham  se  vo  judā  hī  nahīñ
gar  judā  ho  to  vo  ḳhudā  hī  nahīñ
āshnā.ī  pe  us  kī  mat  jaanā
le  ke  dil  phir  vo  āshnā  hī  nahīñ
ḳhaak  chhānī  jahān  kī  lekin
dil-e-gum-gashta  kā  patā  hī  nahīñ
laakh  māshūq  haiñ  jahāñ  meñ  magar
aah  vo  naaz  vo  adā  hī  nahīñ
sa.i-e-be-fā.eda  hai  chāragaro
maraz-e-ishq  kī  davā  hī  nahīñ
dard-e-dil  un  se  ham  kahā  hī  kiye
par  unhoñ  ne  kabhī  sunā  hī  nahīñ
sar  phirātā  hai  kyuuñ  abas  nāseh
merā  kahne  meñ  dil  rahā  hī  nahīñ
ab  vo  aa.e  to  aa.eñ  kyā  hāsil
tāqat-e-arz-e-mudda.ā  hī  nahīñ
maiñ  to  kyā  gosh-e-charḳh  ne  bhī  'aish'
aisā  bedād-gar  sunā  hī  nahīñ